Yeh Dunia agar [Hindi translation]
Yeh Dunia agar [Hindi translation]
ye mahlon, ye takhton, ye taajon ki duniyaa
ye inasaan ke dushman samaajon ki duniyaa

ye daulat ke bhookhe riwaazon ki duniyaa
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai

har ik jism ghaayal, har ek ruh pyaasi
nigaaho mein uljhan, dilon me udaasi
ye duniyaa hai yaa aalam-e-badhawaasi
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai
jahaan ik khilaunaa hai insaan ki hasti
ye basti hai murdaa-paraston ki basti
yahaan par to jeewan se hai maut sasti
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai
jawaani bhatakti hai badkaar bankar
jawaan jism sajte hai baazaar bankar
jahaan pyaar hotaa hai vyaapaar bankar
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai
ye duniyaa jahaan aadmi kuchh nahin hai
wafaa kuchh nahin, dosti kuchh nahin hai

jahaan pyaar ki kadr hi kuchh nahin hai
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai
jalaa do jalaa do
jalaa do ise phoonk daalo ye duniyaa
jalaa do jalaa do
jalaa do ise phoonk daalo ye duniyaa
mere saamane se hataa lo ye duniyaa
tumhaari hai tum hi sambhaalo ye duniyaa
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai
- Artist:Sahir Ludhianvi
- Album:Pyassa