Kalank Bonus Track [English translation]
Kalank Bonus Track [English translation]
Chhupa bhi na sakenge
Bata bhi na sakenge
Hua hain yun tere pyaar mein pagal piya
Jo tere na hue toh
Kisi ke na rahenge
Ki ab na kisi aur se laage jiya
Hazaaron mein kisi ko taqdeer aisi
Mili hai ik Ranjha aur Heer jaisi
Na jaane yeh zamaana kyun chaahe re mitaana
Kalank nahi ishq hai kajal piya
Thokar pe duniya hai ghar-bar hai
Dil mein jo dilbar ka darbaar hai
Sajde mein baithe hai jitni dafa
Woh meri mannat mein har baar hai
Usi ka ab le rahe hain naam hum toh saanson ki jagah
Kyun jaane ek din bhi laage humko baarah maason ki tarah
Jo apna hai saara
Sajaniya pe waara
Na tha mere kisi aur ka aanchal piya
Hazaaro mein kisi ko taqdeer hai aisi
Mili hai ek Ranjha aur Heer jaisi
Na jaane yeh zamaana kyun chahe re mitaana
Kalank nahi ishq hai kajal piya
Main tera, main tera, main tera, main tera
Main gehra tamas tu sunehra savera
Main tera, main tera
Musafir main bhatka tu mera basera
Main tera, main tera
Tu jugnu chamakta, main jungle ghanera
Main tera
O Piya main tera, main tera
Main tera.
- Artist:Arijit Singh