Gulshan Ki Faqat Phoolon Se Nahi [Transliteration]
Gulshan Ki Faqat Phoolon Se Nahi [Transliteration]
Gulshan ki faqka phoolon se nahin kaaton se bhi zeenat hoti hai,
jeene ke liye is duniya mein gham ki bhi zaroorat hoti hai.
Ae waaize-e-naadan karta hai tu ek qayamat ka charcha,
yahan roz roz nigahen milti hai yaha raz qayamat hoti hai.
Wo pursish-e-gham ko ayae hain kuch keh na sakoon chup reh na sakoon,
khaamosh rahoon to mushkil hai keh doon to shikayat hoti hai.
Karna hi padega jabt-e-alam peene hi padenge ye aansoo,
fariyaad-o-fugaan se aey naadaan tauheen-e-mohabbat hoti hai.
Jo aake ruke daaman pe 'saba' wo asha nahin hai paani hai,
jo ashq na chhalke aankhon se us ashq ki keemat hoti hai.
- Artist:Jagjit Singh
- Album:desirres
See more